Wednesday, 27 March 2013

Bone Hadi


Horse Asp Ghora Ghoda


Azdaha Cobra


Clouds Abar Chalte Baadal BADAL

Aaina Mirror Sheesha


Voice Sound Awaz Sun'na


Tuesday, 26 March 2013

Deer Aahoo Hiran


Iron Loha


Aftab Sun Suraj


Freedom Azadi Hasil Hona Azaad Hona


Flour Bajra Atta

(Abadi) Weran Jagah Ko Abaad Karna

Hazrat Muhammad PBUH Ki Ziarat Dream Mein

Friday, 22 March 2013

Pigeon Kabootar

Child Kids Bachay Beta Son Aulad Bacha

Shoes Sandals Jooti Chapal Joogers Chapli Joota

Khwab Mein Joota Dekhna
Khawab mein joota aurat hai. Naya shoes paon mein pahenna aurat ya kaneez karna hai aur kisi dusre ka shoes dala hai tou bewa aurat kare ga. Kala joota laraki aurat hai aur red shoes khush bash aur aish pasand  aurat hai aur agar zard hai tou aurat bimar ho gi aur safaid hai tou aurat khubsurat nikah mein laye ga. Agar gaye ke chamre ki jooti hai tou aseel aurat kare ga. Bakre ke chamre ki hai tou Arbi aurat (Arabic women) se shadi kare ga aur paon se jooti ka girna  ghum aur bay hurmati hai aur paon mein tang joota tabah kar aurat hai. Dream mein purane jootay ka dekhna naye se behtar hai.

Fish Maahi Machli

Behta Paani Aab Water Pani

Khwab Mein Pani Dekhna
Bagh aur zarat ko daryaon aur nehron se pani dena ghum se khalasi aur maal ki daleel hai aur logon ko pani dena deen aur dayanat aur naik kamon ki daleel hai aur agar dekhe ke pani mein jata hai aur us waqt us ka badan mazboot hai tou daleel hai ke hakam ki taraf se kisi sakht kaam mein mashghool ho ga aur saaf pani mein jaye aur us ka badan chup jaye tou tou quwwat deen aur Khuda par bharosa kare ga.

Sky Falak Aasman

 Khwab Mein Asman Dekhna
Asman ko sabz dekhe tou us mulk mein khair aur salah aur aman ho ga aur safaid aasman dekhe tou us jagah ranj aur bimari ho gi. Aasman ko surkh dekhna us mulk mein fasaad hai aur kala asman dekhna us mulk mein fitna barpa hone ki daleel hai. Sky ko mamool se zayada roshan dekhna deen mein roshni hasil hona hai. Asman ka dawraza khula dekhna rozi ka darwaza khulne ki daleel hai. Aasman se pathar barish ki tarah utartay hain tou sakht azab hai.

Aatish Fire Aag


 Khwab Mein Aag dekhna
Aag logon ko jalati hai tou daleel hai ke us ko dushmanon par fatah ho gi aur aag ne us ko jala diya aur roshni na thi tou daleel hai ke marz sar saam se bimar ho ga aur agar us mein noor dekhe tou khushiyon aur farzandon mein se kisi ke yahan bacha aye ga ke log us ki tareef karain gey aur us noor-e-aatish ke barabar bazurgi aur maal paye ga. Aag dhuwan ke sath dekhe tou is amar ki daleel hai ke us ko badshah se dar aur khauf ho ga. Aag bazaar mein dekhe tou bazar walon ki bay deeni hai ke bazaar wale tijarat mein insaf nahin karte hain aur us se ra'aya par zulm hota hai. Na maloom mahenay mein aag dekhe tou bay deni aur kapron ko aah lagi hoi us par par musibat aur deshshat ki ilamat hai.

Sunday, 10 March 2013

Animals Janwar

Wahoosh - Jangli chopaye. In mein se jis qadar nar hain woh mardon par daleel hai aur jis qadar madah hain woh auraton par daleel hai.

Agar billi ki awaz sune tou daleel hai ke us ko dushman se khauf ho ga aur shitar murg ki awaz sunay tou kisi poshedah aur musibat ki khabar sunay ga. Murgh ki awaz hai tou jawan mard ki awaz sunay ga.

Chand Moon


Khawab mein chand badshah ka wazir hai. Agar dekhe ke chand pakra hai ya us ko apne mulk mein dekha hai tou badshah ka maqrab ho ga ya wazir bane ga. Chand ke sath larai aur jhagra karna wazir se jhgara karna hai. Aur agar dekhe ke chand ki jagah par muqeem howa hai daleel hai ke badshah ka wazeer ho ga. Agar dekhe ke us ne chand ka noor liya hai. Daleel hai ke wazarat paye ga. Chand ke sath batain kare tou log us par faryad karain gey aur apna insaf chahain gey aur woh shakhs walayat paye ga. Agar 2 chand apas mein lartay hain tou 2 badshah apas mein jang karain gey aur un mein se aik gir kar parah parah ho gaya hai tou un mein se aik giray ga.


Agar dekhe ke sath ya gaud mein chand pakra howa hai tou aurat kare ga aur agar pehli tareekh ka chand dekhe tou woh aurat us se asal aur nasb mein us se behtar ho gi. Aur agar ye khwab aurat dekhe tou is sifat ka shokar kare gi. Chand ko pakeeza aur roshan dekhna aur phir woh ghar mein aa kar utra ho tou tou us ghar mein aurat kare ga aur us se manfat paye ga.