Friday 22 March 2013

Sky Falak Aasman

 Khwab Mein Asman Dekhna
Asman ko sabz dekhe tou us mulk mein khair aur salah aur aman ho ga aur safaid aasman dekhe tou us jagah ranj aur bimari ho gi. Aasman ko surkh dekhna us mulk mein fasaad hai aur kala asman dekhna us mulk mein fitna barpa hone ki daleel hai. Sky ko mamool se zayada roshan dekhna deen mein roshni hasil hona hai. Asman ka dawraza khula dekhna rozi ka darwaza khulne ki daleel hai. Aasman se pathar barish ki tarah utartay hain tou sakht azab hai.