Friday 22 March 2013

Aatish Fire Aag


 Khwab Mein Aag dekhna
Aag logon ko jalati hai tou daleel hai ke us ko dushmanon par fatah ho gi aur aag ne us ko jala diya aur roshni na thi tou daleel hai ke marz sar saam se bimar ho ga aur agar us mein noor dekhe tou khushiyon aur farzandon mein se kisi ke yahan bacha aye ga ke log us ki tareef karain gey aur us noor-e-aatish ke barabar bazurgi aur maal paye ga. Aag dhuwan ke sath dekhe tou is amar ki daleel hai ke us ko badshah se dar aur khauf ho ga. Aag bazaar mein dekhe tou bazar walon ki bay deeni hai ke bazaar wale tijarat mein insaf nahin karte hain aur us se ra'aya par zulm hota hai. Na maloom mahenay mein aag dekhe tou bay deni aur kapron ko aah lagi hoi us par par musibat aur deshshat ki ilamat hai.